Hey bhagwaan, main to inferiority complex se mara ja raha hu... first blog and first blow... Wait.. starting se story start karta hu.... Vo mere pehle post ki raat, i was just about to log-out and there she appears, turned gray to green.. nahi samjhe , are yaar meri sbse pyari cousine Nikita, suddenly online ho gayi. Ab naye post ke naye josh me maine without waiting use apne blog ka URL de diya.. and her reaction... "KYA YE POST AAPNE YE BATANE KE LIYE KIYA HAI KI AAP KITNE CONFUSED HO" And I was like this... ...pehla zhatka..... Vaise niks ki pehle thodi taareef kar du... Shez smart, talented,good looking but horizontaly challenged, and to my dismay.. A coolest blogger....[ check for ur self: nikstake.blogspot.com ]... And her blog... maine dekha to main to sharm se pehle ice and baad me melt hoke pani-paani ho gaya...AILA COMPITITION !!.. vo bhi ek high school graduate se .. Life is like... funny guy... ek chor ne pehla dimond churaya and usse jyada intelligent [yaha age count nahi hoti, bade bade log bhe paachvi paas se tej nahi prove kar pate apne ko [ :) ] ) chor ne use ye kah diya ki ye to glass hai... to socho kya feel hua hoga use.... Lekin maine bhe immidiatly angreji me apne confused looking "post" ka *postmortam* philosophical sense me kar daala... sub uske upar se nikal gaya ,boli "theek hai theek hai,hopefully next post aapka brilliant hoga and full of life bhe",phir logout ho gayi...and I was like...... .....VICTORY .. YAHOOOOO... Aur is tarah maine ek teenager to stupid prove kar diya... ek million dollar baby ko poor kid prove kar diya... But kya main ek achhe post ko create kar paunga.. kya mere paas itna matter hoga ki main har baar life ki khichdi ka kuch alag rang [ taste yar ,taste] generate kar paunga... kya ppl will smile reading my confusion or they'll appriciate [and hopefuly adapt] the different way to look at jindgi, kya i'll make them see what i see,...my god, ye to bada he khatarnak kaam lagta hai... {charls darwin agar zinda hota to ye "servival of the fittest" ka rule blogging me bhe apply hota dekh kuch ajeeb sa react jaroor karta [ :) ] } Jinhe lagta hai ye junk, vo kabadi hai.. Samajh ne wale samajh gaye hai... joi na samjhe vo anadi hai... [Are ye nikita ke liye nahi hai... vo to really nice and sweet hai, and samajhdaar bhi.. ye to aise he ... yaar main shaayar bhi to hu.... :D ] But niki dear ke karan he mujhe apne doosre post ke baare me jyada sochna nahi para, niks tu to grt hai (tareef ki na... ab apna vote mujhe he degi... [ ;) ] ). Mere apni khichdi ke taste ko samajhne ke liye , pehle main aapko apne life ke kuch different tastes se milvaunga... ye sabhi masale apne aap me poori khichdi hai, but hai majedaar, aur inki vajah se he mere kichdi hai lajjatdaar... [waha,waha, kya sher hai] . In me se kai flavors ko to main janta he nahi [confused.. sab bataunga... this is not the last post bandhu] but phir bhe life ka secrete apne guest appereance se thoda-thoda reveal kar he dete hai...and beauty of the ingrediants are that they are real, absolutly real... So i'll catch you soon along with some spice to sweeten ur khichdi ,my khichdi n life's khichdi [hell she was right, i am confused,anyway]... Keep Smiling... yo :) |
I am Abhishek Mathur- captain of my ship called "Life".. my loved ones are my crew and these are our adventures. yo :)
Sunday, August 3, 2008
Yeh koi blog hai.. huh..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
huh...yaar seriusly samajh nhi aa raha ki kya comment du...
since the blog includes me..toh acha to hona hi tha...
n mera vote to aapke saath hamesha hi hai...
chahe kaisa bhi likha ho apne...atleast that goes by the title of ur blog 'khichdi'...all in all entertaining post tha da...
rock on..!!
cheerz
luv:nickku
Post a Comment